Tuesday, April 12, 2005

BLACK - bollywood ka jaadu

aakhirkaar maine BLACK dekh hi li. jitni ummedein thi film se usse kahin jyada behtar paaya. Sanjay ki har film ki tarah , main is film mein bhi uska kayal ho gaya. Kya khoob adakari ki hai sabhi paatron ne. Amitabh, rani aur sabse jyada woh chhoti ladki: sabhi log jaise us paatr mein doob gaye the.

Yeh film dekhne ke baad lagta hai ki kabhi hindi film isse bhi behtar ban sakti hai ya nahi??

Monday, April 11, 2005

New Orleans : mast mazaa

yeh gaye saptaah ke ant ka hum kuch log besabri se intezaar kar rahe the. New Orleans mein jab hum log gaye to wahan 'French Quarter Festival' tha. Bahut maze kiye hum 5 doston ne. Khana, ghaas pe letna, jazz sangeet suna, sadak pe ajeeb (matlab aankhon ko sukoon dene waale :D) kapde pehne logon ko dekha. Kul mila ke aaram kiya aur waqt khoti kiya. Is sab mein lekin mazaa khoob aaya. Jis jagah hum logon ka theherna tha, uski buraiyan kaafi suni thi par upar waale ki kripa se woh itna bura nahi tha. Hum log zinda wapas aa gaye aur aaj main yeh likh pa raha hoon.

Kabhi to fir se zaroor jana hai yahan wapas. kab? pata nahi !!

Friday, April 08, 2005

Uff !! yeh hindi filmein

Ab main kisi ko kya dosh doon hind filmon ke liye. Nirdeshak to kuch bhi bana hi dete hain muh uthakar par hairat is baat ki hoti hai ki mere jaise pagal log yeh sab dekhte bhi hain :)

Seedhi baat pe aayein to, maine kal 4 filein dekh daali. (yakeen nahi hota hai na. Mujhe bhi nahi hota). Lekin aap to sab log jaante hi ho mere junoon ke baare mein. Aashcharya ki baat to yeh thi ki har film pichhli film se jyada bakwaas hoti thi. Bboriyat ka aalam tha aur main filmien dekhta gaya is umeed mein ki shayad koi to achhi hogi. Aakhirkaar, maine jo film ant mein dekhi, woh fir bhi baakiyon se kaafi behtar thi.

chaahat-ek nasha, jurm, julie : aap soch sakte hianki kya guzar rahi thi mere upar jab main yeh filmein dekh raha tha. :((
Woh to bhagwaan ka shukr hai ki maine sone se pehle ek dhang ki film dekh daali (knock knock.. i am looking to marry) to neend theek se aa gayi. Nahi to poori raat hindi filmon ke darawne sapne aate. Vaise yeh film bangalore mein bani hui ek bhartiya angrezi film hai. Is film mein dikhate hian ki aaj kal ke yuva shaadi ke liye apna jeevan saathi kaise dhoondte hain. Kuch to kaafi mazedaar drishya the.

Lekin is sabke bawajood..... BOLLYWOOD ZINDABAD

Tuesday, April 05, 2005

Blaag ka abhishek

Aaj aakhirkaar Sameer(hawa ka jhonka), Krishna (murlidhar), Prem (prem :D) ke bahut jyada zor dene ki wajah se, iska abhishek aaj raat sawa gyarah baje ho hi raha hai. Samajh nahi aa raha hai ki kya likhoon. Bas itna kehna chahunga ki poori koshish rahegi bakwaas aur gappe karne ki.

Daftar mein aaj ka din kuch khaas nahi tha. Bas main kuch ajeeb ajeeb aawazein sun sun ke pak gaya hoon. Kabhi kabhi zabardasti gaane sunne padte hain taaki bahri tatv satayein na. Dimaag kharaab ho gaya tha.

Aaj prem ko zabardasti "adbhut daud" karyakram dikhaya. Mujhe behad pasand hai. Usko bhi chipka diya kisi tarah. Bollywood zindabaad. Aaj 'zeher' dekh daali. kabhi kabhi yeh nirdeshak log kuch bhi uthake bana dete hain.

khair..mera kya jata hai.. chalo aaj ki kahani yahin samapt. baaki kabhi aur.